Microsoft PowerPoint ek slide show presentation program hai jo ki Microsoft company ne banaya hai. PowerPoint May 22, 1990 me launch hua tha. Presentationas bana ne ke liye PowerPoint aaj kal bahot jyada use ho raha hai. PowePoint sikhne ke liye bahot aasan hai hum badi aasani se esme koi bhi presentation bana sakte hai. PowerPoint ki file save karne ke bad wo .ppt is extention me save hoti hai it means PowerPoint presentation. Aaj mai aapko bataunga ki PowerPoint me aapne images ka slide show kaise banaye. Agar aap kisi company me job karte hai toh aapke kiye ye tutorial bahot mahatva purn hai. PowerPoint ne 2013 me bahaot hi acha fuction diya wo ye ki jo presentation humne banaya hai u se hum video format me bhi save kar sakte hai, is ka fayda ye hai ki aap aapne images ka slide show bhi bana sakte hai. Slide show yani aisa video jisme images chalti rehti hai aur background me ek sound sunai deta hai so start karte hai aaj ka tutorial.
PowerPoint Me aapne Images ka slide show kaise banaye
Step 1 :----
First of all, aapne computer me MS-PowerPoint install kariye agar already hai toh u se open kariye. Open hone ke bad ek blank presentation create kariye.
Step 2 :----
Blank presentation create karne ke bad insert tab par click kare aur insert tab par click karne ke bad photo album par click kare.
Pehle aap aapne sare photo ek hi folder me collect karke rakhiye jinka aapko slide show banana hai is se aapko photo add karne me aasani hogi.
Photo album par click karne ke bad ek popup window khulega waha file disk par click karke sare images add karke create par click kare.
(Note :- Jab aap images insert karenge tab sabhi images ko mark karna na bhule yani select all kare.)
Step 3 :----
Is step me hume aapne slide show ke liye sound add karna hai toh insert me jakar audio par click kare audio par click karne ke bad aapko tin options dikhenge us me se do number wale option par click kare. ( audio on my pc )
Jaise hi aap audio on my pc par click karoge file explorer khulega waha se aapna sound yani gana select karke usko insert kare.
Step 4 :----
Is step me hume slide show ko save karna hai video format me toh save karne ke liye file tab par click kare, file tab par click karne ke bad export par click kare. Export par click karne ke bad aapko create video ye option dikhega us par click kare.
Us ke bad apne video ki quality select kare aur niche ke create video option par click kare aapka slide show yani power point presentation aapke computer me save ho jayega.
Is tarah aap PowerPoint me slide show bana sakte hai. Agar is process ke dowran aapko kuch problem aati hai toh comment karke jarur puchiye.
Asha karta hu dosto ki aap ko ye post pasand aayi hogi. Agar aap ka internet ya blogger se sambhandit koe sawaal hai to aap hamari website ke Sawaal Jawab Form me puch sakte hai.
No comments:
Post a Comment