Android Phone Ki RAM Kaise Badaye - COMPUTER DUNIYA

COMPUTER DUNIYA

ABOUT US

test banner

Post Top Ad

Responsive Ads Here

Wednesday, 6 January 2016

Android Phone Ki RAM Kaise Badaye


Android phone me low ram hone ke karan uska performance bahot kharab ho jata hai.  Hum 
bahot sare games aur application aapne mobile me nahi chala sakte low  ram hone ke karan. Mere bahot sare dosto ne  mujhse ek question pucha ki android phone ki ram kaise badaye toh aaj mai aapko wahi batane ja raha hu aaj aapke sare sawalo ke jawab mil jayenge.  Kai log aaj bhi bahot purane mobile phones use karte hai, jinme old operating system hoti hai  like CupCake, Donut, Ginger Bread and HoneyComb ye jo old operating systems hai unme processor aur ram bahot hi low quality ke hote hai jis se phone slow chalta hai.  Hum jo kam aapne phone me kar rahe hote hai wo sab ram me chal raha hota hai, is liye phone ki puri performance ram ke upar depend rehti hai, jitni aapke phone ki ram jyada hogi utan aapka phone fast kam karega.  Kuch applications ki madat se ye possible hai ki hum aapne phone ki ram bada sakte hai Secondary storage ki means memory card ki madat se.  Suppose aapka memory card 4 gb ka hai aur usme 2 gb free space hai toh wo 2bg ko aap ram ki tor par use kar sakte hai.

Android Phone Ki Ram Badane Ki Process

Android phone ki ram badane ke kai sare tarike hai lekin aaj mai aapko ek simple tarika badate wala hu jo ki ek application ke jariye kiya ja sakta hai.  ROEHSOFT RAM EXPANDER (SWAP) ye ek aisa application hai jo memery card ke partition bana kar aapne phone ke ram space badata hai.  Is method se aapne phone ki ram badane ke liye aapka phone root hona jaruri hai, Phone root kaise karte hai iske bare me mai pehle hi bata chuka hu agar aapko pata nahi hai android phone root kaise karte hai toh aap uski jankari yaha pad sakte hai 

Requirements :-

( is process ke liye hume kya kya lagega )
  • One Rooted Android Phone
  • One 4 Gb Memory Card
  • ROEHSOFT RAM EXPANDER ( Application )
Note :- Aapke memory card me agar kuch important files hogi toh use kahi aur copy karke jarur rakhiye kyu ki jab hume swap file banayenge Memory card format bhi ho sakta hai.

Android Phone Ki Ram Badane Ke Liye Niche Diye Gaye Steps Follow Kariye

Step 1 :----

First of all aapne Rooted Android  phone me  ROEHSOFT RAM EXPANDER ye application download karke install kariye. ( Google me search kare “Download ROEHSOFT RAM EXPANDER” aur is app ko download karle. ) 



  • Then apna phone restart karle.
  • Then ROEHSOFT RAM EXPANDER open kare
  • Sabse upar ki jo green color ki line hai ( SwpFile ) uspar aapko ek dot dikhega usko right ko drag kariye jitni Mb aapko ram badani hai utna drag kariye.  Line ke baju me aapko Mb dikhega so jitni Mb ram aapko badani hai utna dot ko drag kariye.

  • Then ek same green line aapko uske niche dikhegi jise Swappiness kehte hai uske upar ek dot dikhega usko pura ( full ) right site ko drag kariye.
  • Then Active par tap kariye aur swap file create hone tak wait kariye.
  • Jaise hi aap active button par touch karoge swap file create hona chalu ho jayega, swap file 100% create hone ke bad sab application close kariye aur ek bar aapna phone restart kariye aapke phone ki ram ab bad chuki hogi. Yad rakhiye ye jo ram badegi setting me jakar chek na kare kyu ki ye method se humare phone ki vertual ram badti hai ye setting me show nahi karega par aapka phone fast ho jayega.
Final words :-
So aapna experiance comment ke through jarur share kariye ga.  agar aapko ye post pasand aa gai hogi toh facebook par aapne dosto ke sath jarur share kariye.  Post me mujhse kuch galti ho gai hogi toh comment ke through mujhe bata kar help jarur kare have a happy.

Asha karta hu dosto ki aap ko ye post pasand aayi hogi. Agar aap ka internet ya blogger se sambhandit koe sawaal hai to aap hamari website ke Sawaal Jawab Form me puch sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here