Whatsapp aaj-kal chalne wala sabse jayada popular apps hai.
Log ab apne mobile me SMS pack nahin dalwate sirf Whatsapp se hi chating karte hai. Agar video, photo ya aur bhi koi file kisi ke pass send karna ho toh kuch second me bhej sakte hai
Log whatsapp ko apne laptop or pc pr bhi chalana chahte hai toh iske liye hame apne PC me software install karna padta hai,
To chaliye hun jante hai ki bina kisi software ke madad se ise kaise chalate hai.
Aap mujhe bs Step by Step follow kare
Note :---- Agar aap apne mobile pr Whatsapp use karte hai to hi aap ise PC pr chala sakte hai aur PC me bhi sirf Google chrome me hi chala sakte hai,
Step 1 :----
Sabse pahle aap apne LAPTOP/PC me Google chrome open kare aur niche diye gaye website ko open kare
Website ko open hone ke baad CLICK TO RELOAD QR CODE pr click kare jaise ki pic me diya gaya hai
Step 2 :----
Jaise hi aap CLICK TO RELOAD QR CODE pr click karange to ek code dikhai dega jise QR codekahte hai
Step 3 :----
Phir aap apne mobile me Whatsapp open kare phir menu me jaye phir Whatsapp Web pr click kare jaisa ki pic me diya gaya hai
Step 4 :----
Whatsapp web pe click karne ke baad OK, GO IT par click kare
Step 5 :----
Jaise hi aap OK, GO IT pr click karnge to aapke mobile ka camera open ho jayega jise hum QR scanner kahte hai. Jaise niche pic me diya gaya hai
Phir aap apne moble se us code ko scan kare jaisa ki Stape 2 me diya gaya hai.
Scan hone ke baad Whatsapp aapke PC me apne aap open ho jayega,
Computer par whatsapp paryog karne ke baad aapko ise logout kar dena chahiye jisse ki aapka account safe rahe. Logout karne ke do tarike hai.
Computer se logout kare: Computer se logout karne ke liye menu par click kare aur Logout kr de.
Mobile se logout kare: Mobile se logout karne ke liye mobile app main Menu > WhatsApp Webmai jaye aur “Logout from all computers” par click kr de.
Agar aapko koi bhi dikat aati hai to aap comment kar ke puch sakte hai……..
No comments:
Post a Comment