Hello dosto aaj mai aap logo ke liye kuch useful or helpful tips leke aaya hun jo ki is prakar hai ki android phone ko garam hone se kaise bachaye
Mobile jo aaj kal har age ke logo me dekhne ko mil jata hai jisme android phone ke users ki sankhya sabse jada hai or android phone use karne wale har insan ko ye pta hota hai ki uska phone garam hota hai lekin use ye pata ni hota ki aakhir kyon mera phone garam hota hai ??
Mai aapko bataunga ki aakhir kyon aapka phone garam hota hai or kaise ham apne phone ko garam hone se bacha skte hai
1-: RUNNING APPS
Mobile ke background me bahut se apps chalte rehte hai jo ki processor or Ram ko use karte hai jinki wajah se aapka phone garam hota hai or uski speed bhi slow ho jati hai or atakne lagta hai. Isliye mobile garam hone par check jarur kare ki background me koi apps run to ni kar ra
KAISE CHECK KARE
Step 1 :---- Sabse pehle aap aap apne android phone ki settings me jaye
step 2-: uske baad app (applications) par click kare
step 3-: ab aap running app ko select kare jahan aap sabhi background running apps ko dekh skte hai
step 4-: ab aap apps ke icon par click kare or force stop par click kar de to aapke jitne bhi background ranning app hai sab ka force stop kar de
Sab ka force stop karne par aapke background running apps chalna band ho jayega or aapke phone ki speed increase bhi ho jayegi iske bachav ke liye aap ek badiya sa antivirus ko use kare or har 20-25 minutes baad phone ko antivirus se scan kare
Step 2 :---- VIRUS Kai baar hamare phone me virus aa jata hai or hame pata bhi nahi chalta iske karan phone garam or hang hone lagta hai
Step 3 :----APPS Gps or google map ko use karne se bhi mobile jada garam ho jata hai agar in apps ko use karte ho to use karne ke baad ofline kar den
Step 4 :---- INTERNAL MEMORY Kai baar hamare mobile.ki internal memori bhar jane ki wajah se bhi phone garam hone lag jata hai or atakne lagta hai isliye kabhi bhi ho phone ki memory par kuch space bacha ke rakhe
Step 5 :----CHARGER Agar charging ke waqt aapka phone hang ho to iske liye dusre charger or power socket ka use kare ek baar ye bhi check kare ki charging pin mobile se acche se connect hai ya nahi agar abhi bhi problem aati hai to aap battery badal de ho sakta hai ki aapki battery me problem ho
Step 6 :----SOFTWARE UPDATE Kayi baar purane software ki wajah se bhi phone garam hota hai isiliye agar software purana ho gaya ho to update karana na bhule
Step 7 :----APP OVERLOAD mobile pade pade hi garam hora ho to aap samajh jaiye ki mobile overload ho gaya hai or settings me jake battery ko check kare ki kon si application jyada battery ka use kar rhi hai or use turn off kar lijiye
1 -: COMPRESS DATA Mobile browser settings me jakar Compress data ko active kar de isse aapka data kam kharch hoga or aapka phone garam bhi ni hoga !!!!
Agar aap in sab bato ko dhyaan me rakhenge to aapka phone garam nahi hoga or aap aasani se apne phone ko chala skte ho
Asha karta hu dosto ki aap ko ye post pasand aayi hogi. Agar aap ka internet ya blogger se sambandit koe sawaal hai to aap hamari website ke Sawaal Jawab Form me puch sakte hai.
No comments:
Post a Comment