Ye Apps Aapko Paise Kyu Dte Hai?
android apps se paise kamane ke bare me sun kar aapke dimag me ye bat aa hi gayi hogi ki ye apps hume paise kyu dete hai inhe kya milta hai. lagbhag har paise kamane wala apps aapko apps download karne, video dekhne or servey complete karne ke liye kahta hai. actually ye apps aapko apna ya unke dwara join ki gayi kisi company ka promotion karwane ke liye paise dete hai. jab aap inki companies ke product ka promotion karte ho to wo company inhe commission deti hai. us commission me se kuch % paise ye apps aapko de dete hai. is tarah inki madad se aap bhi thode paise kama lete ho. lagbhag har earn money, make money apps ki yahi processing hoti hai.
To chaliye mai apne topic par aata hu ki paise kamane ke top 5 android apps konse hai.
Mobile Se Paise Kamane Ke 5 Best Android Apps
Jaisa ki upar me aapko bta chuka hu ki aapko paise kamane ke to hazaro apps mil jayenge par unme se sachmuch paise kamane wale apps bahut kam hi hote hai. isliye kisi bhi apps par apna time west karne se pahle uske bare me ache se pata kar le. uske bad hi kam shuru kare.
1- Earn Money
Earn money apps aapko free or paid apps download karne, free or paid website par register karne, apne dosto ko invite karne, servey complete karne ke paise dega. iske alawa aapko earn money apps kuch servey complete karne ke offer bhi dega. unse aap extra pincome kar sakte hai. earn money se kamaye gaye paise aap paypal account ke throw prapt kar sakte ho.
2- Google Opinion Rewards
Google Opinion Rewards app ko google ne develop kiya hai. google ka name sunte hi aapko ye to pata chal hi gaya hai ki ye apps fake nahi ho sakta hai. isme aapko differnt servey complete karne honge. jab aapke servey availbable honge to aapko notification message mil jayega. aap ek servey complete karke lagbhag $1 income kar sakte ho. isme aapko sawal jawab ke servey milenge. ek important bat aapko bta du ki iske servey fix hote hai or servey ka time expire hone ke bad aap use complete nahi kar sakte. iske alawa aap isse google play store se apps or music kharid kar bhi commission kama sakte ho
3- Ipoll
Ipoll apps me aapko servey ke alawa task bhi diye jayenge. jinhe complete karke aap paise kama sakte hai. iske alawa amazon, flicard jaisi compony ke mission dega. unhe complete karne ke bad aapko uska commission milega. is apps se kamaye paise aap paypal account me transfer kar sakte ho. Ipoll app ko download karne ke liye
4- MintCoins
MintCoins apps bhi aapko servey complete karne ke paise deta hai. iske alawa aap is apps se video dekhne, video download karne, ads dekhne, apps download karne, online free game khelne or apne dosto ko is apps ko use karne ke liye invite karne se paise kama sakte ho. is apps se ki income aap paypal ke throw recieve kar sakte ho. usme aap kam se kam $1 payment le sakte ho.
5- ESPN Streak for the Cash
ESPN Streak for the Cash apps bilkul lottery ki tarah hota hai. isme aapko dusre user se chunoti milti hai. or agar aap usse pahle servey complete kar lete ho to aapko per servey $1 milega. agar aapko sports sound ki achi jankari hai to aap isme picks le kar jit paise jit sakte ho.
Asha karta hu dosto ki aap ko ye post pasand aayi hogi. Agar aap ka internet ya blogger se sambhandit koe sawaal hai to aap hamari website ke Sawaal Jawab Form me puch sakte hai.
No comments:
Post a Comment