Android Ke Pattern Ko Reset/Unlock Kaise Kare - COMPUTER DUNIYA

COMPUTER DUNIYA

ABOUT US

test banner

Post Top Ad

Responsive Ads Here

Monday, 28 December 2015

Android Ke Pattern Ko Reset/Unlock Kaise Kare

Android google ke dwara banaya gaya smartphone operating system hai, google isme lagatar naye features jodta ja rha hai aur purane feature ko bhi improve karke sabse best operating system ke roop me apni pehchan banaye huye hai.

Jab security ki baat hoti hai to google ne kuch aise features add kiye hai jo aapke phone data ko galat hatho me jane se bachate hai,
Jinme pattern lock sabse popular aur best security lock sytem hai.

Lekin problem ye hai ki kai baar jab aap pattern bhul jate hai to aap apne phone aur uske data ko access nahi kar sakte,
Isliye me aapko batane ja rha hun ki kaise android phone ke pattern lock ko unlock ya reset kare.

Google Account Ki Help Se Android Pattern Ko Unlock Kare :-



Agar aap 5 baar galat password lagate hai to ek pop up show hota hai,
 “ You Have Incorrectly Drawn Patterns for 5 Times. Try again after 30 second ”
Ab niche aapko screen par  niche ki taraf Forgot Pattern likha hua dikhayi dega uspe click kare.

Ab ek new window khulegi jaha aapko google ki gmail id aur password dalna padega jo aapne apne phone ke google account me pahle se set kar rakhi hai,
Sign In par click karne par aap setting  par redirect ho jayenge jaha phone ke liye new pattern set karna hoga aur aapka phone unlock ho jayega.

Note - Is method ke dwara aap pattern ko reset karna chahte hai to aapka phone internet ya wifi se connect hona chahiye,
Agar aisa nahi hai to aap ye method use nahi kar sakte fir aapko niche diya gaya dusra method use karna hoga.


Google Account Ke Bina Android Pattern Ko Unlock Kare :-


Step 1 :----
         Apne phone ko switch off kare aur poori tarah shut down hone ke liye kuch time wait kare.

Step 2 :----
         Ab Volume Up + Home Button + Volume Down in teeno buttons ko ek sath 8-10 second ke liye dabaye rakhe,

Step 3 :----
         Aisa karne par system recovery window khulegi.Agar recovery window nahi khulti to fir wapas witch off kare aur is baar Power On  + Volume Upbutton ke 8-10 second ke liye dabaye rakhe.

Step 4 :----
        Upar-Niche jane ke liye Up VolumeDown Volume Key or Select karne ke liye Power On Key Ka Upyog kare.

Step 5 :----
       Ab Factory Reset ya Delete All User Data par jaye aur select kare.

Step 6 :----
 
       Apne phone ko reset hone tak wait kare aur fir Reboot select kare.

Ab aapke phone ka pattern unlock ho jayega aur aap setting me jakar naya pattern lock set kar sakte hai,
Agar post accha laga ya kuch jan na ho to aap niche comment kar sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here