Contact Owner Is Application Ki Madat Se Ham Apna Khoya Huva Android Phone Kaise Find Kare ... ??? - COMPUTER DUNIYA

COMPUTER DUNIYA

ABOUT US

test banner

Post Top Ad

Responsive Ads Here

Wednesday, 30 December 2015

Contact Owner Is Application Ki Madat Se Ham Apna Khoya Huva Android Phone Kaise Find Kare ... ???

Aaj kal hamara phone hamari zindagi ka 1 ahem hissa ban gaya hai. Hamare sare mails , photos , videos , music , documents data aur passwords sab isi me hote hai. Aur agar hamara phone chori ya ghum ho jata he to hamara data bhi usi phone ke saath chala jata he. Aise halat me har koyi sochenga ke ham apna phone kaise find kare.


Chalo dekhte he apna khoya huva phone kaise find kare ...

Waise to bahot se aaplication aise he jin ki madat se ham apna khoya huva phone locate kar sakhte hai / khoj sakhte Hai.

Ye kuch applications he jin ki madat se ham apna android phone khoj sakhte hai ...


1 - Contact owner

2 - wehre is my droid

3 - Android device manager

Aaj ham dekhenge ki Kaise contact owner is app ki madat se apna khoya huva phone khoj sakhte hai ?

Maan lijiye hamara phone ghum ho gaya aur wo kisi ko mil gaya aur wo hamara phone wapas karna chahta he lekin phone locked he to wo phone wapas kare to kaise kare.

Is application ki madat se ham apni contact details phone me hi main screen par rakh sakhte hai. Ta ki jise hamara phone mila he wo hame contact kar sakhe.

Contact owner ka istemal kaise kare ?

• Sab se pehle hame contact owner is application ko download karna honga .

chalo dekhte he contact owner is application ko download kaise kare aur us ki madad se ham apna khoya huva phone kaise find kare.

• play store me ja kar contact owner ko search karlo.

• sarch karne ke baad us per click karke use download kar lo.

• download hone ke baad install kar lo.

• install complete hote hi us aaplication ko open kar lo.

• application open hone ke baad hame yes botton per click karna honga.
Step 1 :----
Step 2 :----
Step 3 :----
Step 4 :----
Step 5 :----
Step 6 :----
Step 7 :----
Step 8 :----
In sab ke baad aap ko is application me 3 jagah apni kuch information or notes enter karna hai.

pehle contact information par click karke use open karlo

• select your contact / apna contact select kar dena.

• us ke baad yes par click kardo.

• wapas back jake text before ko select karke ok par click kar dena.

• fir wapas back ja kar text after par click karke use open karlo.

• open karne ke baad waha type kar dena or call - 9766xxxxxx yaha apna number likh dena.

• us ke baad ok par click kar dena.
Step 9 :----
Step 10 :----
Step 11 :----
Step 12 :----
Step 13 :----
Step 14 :----
Step 15 :----
Ab aap jaise hi apni mobile ki main screen par ja kar mobile lock karke on karte hai to aap ko apni contact details dikh jayengi jo aap ne contact owner is aap me dali he.
Yani aap ka phone kisi ko lock ki halat me bhi milta he to bhi ye contact detail use dikh jayengi jise aap ka phone mila he or ho sakhta he wo is contact details ko dekh kar aap se contact karle aur aap ka phone wapas louta de.

Agar aap ki koyi pareshani he ya is post ke bare me koyi sawal he to aap comment kar ke puch sakhte ho.



No comments:

Post a Comment

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here